Dill ka kyaa hai wo to Chahe gaa Musalsal Milna
Wo Sitam_gar bhi magar SoChe kisi pal Milna
HaaN nahin Waqt to hum bhi hain Adiim-ul-Fursat
us se kya kahiye jo har Roz kahe kal Milna
Ishq ke Raah ke MusaafiR ka muqaddar Maluum
Dasht-e-Ummeed mein Andeshe ka Baadal Milna
Daaman-e-Shab ko agar chaak bhii kar len to kahaaN
**Nuur mein Dubaa huaa Subah ka aaNchal milna **