Dilawar Figaar -

This is a Tribute piece to Late Dilawar Figaar and his mizhah poetry

:smiley:

Gadhe ka qatal
In the year 1944, a very interesting news came that a man in Barabanki ( U. P.) killed a donkey just because it entered his fields. That news is the inspiration for this nazm]

barabanki say mili hai yeH alam-naak kHabar alam-naak= very sad]
aik insaan nay kiya aik gadhe ka murder murder= qatal]
hai! yeH qatal keH jiss maiN koi mulzim na wakeel mulzim= accused]
na adaalat, na wakaalat, na zamaanat, na apeal
[wakaalat= legal, zamaanat= bond]

eiN cheH zulm ast keH baadeeda-e-tarmi beenam
taigH-e-qaatil hamaaH bar gardan-e-kHarmi beenam

kHar bhi ab jaNg ko taiyyaar nazar aa-tay haiN kHar= donkey]
aalmi jaNg kay aasar nazar aa-tay haiN aalmi jaNg= world war]

iss say pah-lay kay bhaRhak uTheiN gadhoN kay jazbaat jazbaat= sentiments]
kHar-e-maqtool kay ba-ray maiN yeH ho tahqiqaat
kHar-e-maqtool= killed donkey; tahqiqaat= enquiry]

yeH gadha kaun tha, kis mulk ka bashinda tha? bashinda= citizen]
kya kisi kHaas jamaat ka numainda tha?
jamaat= party; numainda = representative]

qatal say pah-lay kis baat peH sharminda tha? sharminda= ashamed]
kya saboot iska keH woH murdaaH tha ya zinda tha? saboot= evidence]
{ sher corrected by Steve Almas}

bahar-e-taqreer kabhi us-nay zabaaN kholi thi?
aur kholi thi to urdu to nahin boli thi?
bahar-e-taqreer= for speech]

ab say pah-lay woH parastaar-e-wafa tha keH nahiN?
yeH jawaaN marg hamesha say gadha tha keH nahiN?
parastaar-e-wafa= faithful slave; jawaaN marg= died young]

yeH bhi maloom kiya jaaye ba-tahqeeq-e-tamaam
kis liye qatal hua hai yeH kHar-e-gul andaam
ba-tahqeeq-e-tamaan= with a complete enquiry;
kHar-e-gul andaam= donkey with a body like flower]

kahiN yeH qatal siyasat ka natija to nahiN? siyasat= politics]
mar-nay waala kisi leader ka bhatija to nahiN? bhatija= nephew]

kahiN iss qatal kay pichhe koi saazish to nahiN? saazish= conspiracy]
kahiN yeH bhi kammunistoN ki nawaazish to nahiN?
kammunistoN= communists’ ; nawaazish= kindness]

kahiN iss qatal kay pichhe koi rumaan na ho? rumaan= romance]
kahiN yeH qatal kisi nazm ka unwaan na ho? unwaan= title]

kahiN bimaar-e-gHam-e-dil to nahiN tha yeH gadha?
kahiN kHud apna hi qaatil to nahiN tha yeH gadha? qaatil= murderer]

mujh ko Dar hai yeH gadha haq ka parastaar na ho haq= truth]
zauq kay daur maiN gHaalib ka tarafdaar na ho

agar aisa hai to iss qatal peH afsos hi kya
mar-nay wala bhi gadha, maar-nay wala bhi gadha

haN magar gHam hai to iss ka keH jawaN th-ay mausoof
sirf ik kHar hi nahiN, fakHar-e-kHaraaN th-ay mausoof
mausoof= one being desribed; fakHar-e-kHaraaN= the pride of the donkeys]

Dilawar Figaar left this gift for us

:biggthumb:

:)

Thanks for sharing.