Yeh mour bhi ayega kabhi socha bhi nahee thaa
Hajoom-e-dostan mein hogi tanhae kabhi socha bhi nahee thaa
Kyon hogaye pathar se yeh paoon hamaare
Hum ne tu ussay murr kar dekha bhi nahee thaa
Kisi ke sath chalne ki umeed bhi kya hoti
Hamaare sath tu apna saaya bhi nahee thaa
Dil yeh nadaan ke ab tak yaad karay hai ussay
Jis ne ek baar palat ke dekha bhi nahee thaa
Yeh kaise maan lain hum ko samajh na saka
Woh shaks jo iskadar saada bhi nahee thaa
Is taa’luq ko nibhane mein gharz apni bhi thee shaamil
Ke tanha rehne ka hum mein hausla bhi nahee thaa
Jab yeh socha ke bhar hi jayega guzarte wakt ke saath
Tab zakhm ki ghehraee ka andaaza bhi nahee thaa
Shikwa jisay hamesha in aans’oun se raha
Aaj yaad aaya tu aankh mein aik sitaara bhi nahee thaa…
Lamhay
2
Re: Dil yeh nadaan ke ab tak yaad karay hai ussay
Wah Amazing stuff !

Yeh safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt kitna qaleel hai
Kahan laut kar koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya
Wo wafain thin ya jafain thin, na yeh soch kis ki khatain theen
Jo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya!!
Re: Re: Dil yeh nadaan ke ab tak yaad karay hai ussay
Thank you very much for your appreciation Lamhay and I must say that the contribution is simply marvellous …:k:
Woh haseen lamhay jo kal tak thay muradoon ki tarha
Aaj palkoon pe chamak utthay hain yaadoon ki tarha…