jee chahay to sheesha ban jaa
jee chahay paimaana ban jaa
sheesha paimaana kya ban’na
maii ban j mai khaana ban jaa
maii ban kar mai khaana ban kar
masti ka afsaana ban jaa
masti ka afsaanaa ban kar
hasti se begaana ban jaa
hasti se begaana hona
masti ka afsaana ban’na
iss honay se iss bannay se
acha hai deewana ban jaa
deewana ban jaanay se bhi
deewana hona acha hai
deewana honay se acha
khaak e dar e jananaa ban jaa
khaak e dar jaanaana kya hai
ehl e dil ki aankh ka surma
shame k dil ki thandak ban ja
nuur e dil e parwaana ban ja
seekh zaheen k dil se jalna
kaahay ko har shaama pe jalna
apni aag main khud jal jaaye
tu aaisa parwaana ban jaa
jis ne ye ghazal nahi suni by Abida parveen uss ne kuch nahi suna
being lonely