Dil tere yaad mein ro ro kar sanbhalta bhi nahin
Ek tu hai ke milta bhi nahin DiL se nikalta bhi nahin
Rakh ban kar hi gharri bhar ko sukoon aaey magar
DiL jo sari umar jala ab aaG se jalta bhi nahin
Hum tere ishq mein kya kya na banay kya kya na huay
Tu sitamgar ka sitamgar hi hai badalta bhi nahin
Buutt teri yaad mein tujh sa roz banata houn aik
Tujh sa lagta bhi nahin tujh sa dhalta bhi nahin
Lakh dhonday koi tujh sa zamanay mein fais! ![]()
Umar bhar kat gaey ess kaam mein milta bhi nahin
Dedicated to Dr Neha