Dil sey khayaal-e-dost bhulaaya na jaye ga!!!

**Dil sey khayaal-e-dost bhulaaya na jaye ga Seenay mein daagh hai ke mitaaya na jaye ga

Tum ko hazaar sharm sahi, mujh ko hazaar zabt
Ulfat woh raaz hai ke chupaya na jaye ga

May-e-tund-o-zarf hosla ahl-e-bazm-e-tang
Saaqi sey jaam bhar ke pilaya na jaye ga

Razi hain hum ke dost sey ho dushmani magr
Dushman sey hum ko dost banaya na jaye ga

Bigrein na baat baat pe kiyun jaantey hain woh
Hum woh nahi ke hum ko manaya na jaye ga

Maqsood apna kuch na khula lekin is qadar
Ya’ani woh dhoondhtey hain ke paya na jaye ga

Jhagron mein ahl-e-deen ke na “Hali” parein bus aap
Qissa huzoor sey yeh chukaya na jaye ga**

Re: Dil sey khayaal-e-dost bhulaaya na jaye ga!!!

[QUOTE]
Originally posted by Galaxy: *

Dil sey khayaal-e-dost bhulaaya na jaye ga
Seenay mein daagh hai ke mitaaya na jaye ga
*

[/QUOTE]

Khoob :)
Thanks for sharing ....

Beautiful....

and nice to see you something from you after a long time... hope to see you often...

[thumb=B]th_Beagif.JPG[/thumb]

thanks DILSAY.................bas darasal busy tha na.......isliye ziada aana nahi ho raha tha GS per

bohat khoooob :k:

nice

khoob bohut khoob:k::k: