Dil Sada Ka Dewana..

Aik Nazm,

Dil Sada Ka Deewana
Teri Muskurahat Ka
Intezar Rehta Hai
Humko Teri Aahat Ka

Jab Kabhi Bhi Seenay Main
Dil Mera Dharakta Hai
To Gumaan Hota Hai
Teri Sarsarahat Ka

Pyar Tumko Kerna He
Zindagi Hamari Hai
Chahna Tumhain Janaan
Bandage Hamari Hai

Gum Hotay Jatay Hain
Hum To Teri Rahon Main
Dunya Hum Bhula Bethay
Sirf Teri Chaahon Main

Yaara Maray Deti Hai
Sard-Mehri Dunya Ki
Rooh Meri Dehka-O
Bhar Lo Apni Baanhon Main

Yaara Meri Chahat Main
Dunya Tum Bhulao Na
Yaara Aise Aao Tum
Phir Kabhi Bhi Jao Na

Yaara Mujhko Dekho Tum
Aur Muskurao Na
Yaara Iss Tarah Se Tum
Dil Mera Lubhao Na

Yaara Iss Dewanay Ka
Haal Aakay Poochna
Yaara Merr Na Jaye Ye
Iss Se Tum Na Roothna

(Ahmer)

Re: Dil Sada Ka Dewana..

:k: love it

Re: Dil Sada Ka Dewana..

Yaara Maray Deti Hai
Sard-Mehri Dunya Ki

Very Nice :)

Re: Dil Sada Ka Dewana..

thanks alot :bobo:

Re: Dil Sada Ka Dewana..

Bohat khoob Ahmer..:k:

Re: Dil Sada Ka Dewana..

Very nice

Re: Dil Sada Ka Dewana..

thanks alot Aryan and teray naam :)

Re: Dil Sada Ka Dewana..

impressive ....

Re: Dil Sada Ka Dewana..

wow its lovely dada bhai:flowers: