phir us kay jatay hi yeh dil sunsaan ho kar reh gya
acha bhala ek shehar tha veraan ho kar reh gaya
har naqsh batal ho gaya ab kay dyaar-e-hijr main
ek zakham guzray waqt ki pechaan ho kar reh gaya
rut nay meray charoo tarf kheenchay hisaar-e-baam-o-dar
ye shehar phir meray liye zindaan ho kar rah gaya
kuch din mujhay awaaz di loogoo’n nay us kay naam say
phir shehar bhar mai woh meri pechaan hokar raah gaya
ek khawab ho kar rah gaieen gulshan say apni nisbataain
dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
har saat-e-aram-e-dil har lamha taskeen-e-jaan
bichary howay ek shaks ka paimaan ho kar rah gaya
khwahish to thi sajid mujhay tas-heer-emehr-o-maah ki
lakin faqt mai sahib-e-dewaan hokar rakh gya
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
lovely...:)
TLK
3
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
beautiful , excellent flow.
who is this Sajid sahab. what is the name of the poet?
SID_NY
4
Very good..
I think the last misra has "sahib-e-deewaan" , not sahib-e-deaan"
sajid is the poet … dont know his full name 
yes it’s dewwan… thanks for the correction 
Aryaan
7
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
Good One Shab-e-Hijar..:k:
BTW, Poet ka naam Aitbar Sajid hai..
Daanie
8
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
buhut khoob ji :)
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
v nice bt surprise 2 knw tht u ppl hve enough knowladge in poetry.
muncho
10
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
har saat-e-aram-e-dil har lamha taskeen-e-jaan
bichary howay ek shaks ka paimaan ho kar rah gaya
khwahish to thi sajid mujhay tas-heer-emehr-o-maah ki
lakin faqt mai sahib-e-dewaan hokar rakh gya
khoob!!!
Sannan
11
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
buhat achi sharing
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
***har naqsh batal ho gaya ab kay dyaar-e-hijr main
ek zakham guzray waqt ki pechaan ho kar reh gaya
very nice jee
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
buhat acchi sharing hai...
Re: dil raiza raiza kaanch ka guldaan hokar rah gaya
har saat-e-aram-e-dil har lamha taskeen-e-jaan
bichary howay ek shaks ka paimaan ho kar rah gaya
very nice indeed!