Zabt apna sha’aar tha na raha
dil pe kuch ikhtiyaar tha na raha
Unki be-mahriyon ko kiya maloom
koi umeedwaar tha na raha
Dil Marhoom Ko Khudaa Bakhse
Ek Hi Ghamgusaar Tha Na Raha,
Aa Kay Waqt Sakoon-e-Marg Aaya
Naala NaKhushghawar Tha Na Raha,
Aah ka aitbaar bhi kab tak
aah ka aitbaar tha na raha
Mehrbaan ye mazar e fani hai
aap ka janisaar tha na raha
Zabt Apna Shi’aar Tha,Na Raha…!!! - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=eJBSSy8bAl8)