ehsan
1
Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa
Khud Ko Halaak Kar Liyaa Khud Ko Fidaa Nahiin Kiyaa
Kaise Kahen Ke Tujh Ko Bhii Hamase Hai Vaastaa Koi
Tuune To Hamase Aaj Tak Koi Gilaa Nahiin Kiyaa
Tuu Bhii Kisii Ke Baab Men Ahad-Shikan Ho Gaaliban
Main Ne Bhii Ek Shakhs Kaa Qarz Adaa Nahiin Kiyaa
Jo Bhii Ho Tum Pe Mautariz Us Ko Yahii Javaab Do
Aap Bahot Shariif Hain Aap Ne Kyaa Nahiin Kiyaa
Jis Ko Bhii Shekh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khudaa Diyaa Qaraar
Hamane Nahiin Kiyaa Vo Kaam Haan Baa-Khudaa Nahiin Kiyaa
Nisbat-E-Ilm Hai Bahot Haakim-E-Vaqt Ko Aziiz
Us Ne To Kaar-E-Jehl Bhii Be-Ulaamaa Nahiin Kiyaa
Re: Dil ne wafa ke naam per
Nisbat-E-Ilm Hai Bahot Haakim-E-Vaqt Ko Aziiz
**Us Ne To Kaar-E-Jehl Bhii Be-Ulaamaa Nahiin Kiyaa

uncle aap ne aajkal mushkil shayari paRhna shroo kar di hai
**
ehsan
3
Re: Dil ne wafa ke naam per
mein nay socha koi toh translate karey ga.
Re: Dil ne wafa ke naam per
Chasma ghar reh gaya warna zaroor karta
tarash
5
Re: Dil ne wafa ke naam per
**Main Ne Bhii Ek Shakhs Kaa Qarz Adaa Nahiin Kiyaa
kon hai woh?
**
Re: Dil ne wafa ke naam per
mein nay socha koi toh translate karey ga.
KKF ko PM kar dete :p