dil nay socha thaa

dil nay socha thaa
tum bahut khoobsurat ho
teri chah main dil mera
dooba dooba jaata thaa

usay mil gayi hai ab
tum se bhi khoobsoorat larki
ab vo teray liyay khamosh hai
par us main dooba jaata hai

bhool jaao sub puraanay waaday
kho jaao sub puraani umeedain
ab nayay waaday denay hain
nayi umeedain bharni hain

jaao, ab kisi aur ko chaho
mera ab peechcha chod jaaoo
main us pe ab muskrata hoon
vo jab mujh par muskrati hai

phoolon k pahar lag jaatay hain
tottay shakar khannay lagtay hain
hansi main maaray jaatay hain
hum hunsnay lagtay hain

vo bahut khoobsoorat hai
meray dil ki chahat hai
meray dil ki dharkan hai
meri mehbooba meri jaan hai

PS: Posted by mistake here. Please move it to Sho’ra -e- GupShup. Thanks.

Re: dil nay socha thaa

Ravi is ki trnaslation nahi ki? :~)

Re: dil nay socha thaa

arey amal bhai, baday mazaak kartay ho!