chaand kay saath kaiee dard puranay nikalay
kitaney ghum thay jo teray ghum kay bahanay niklay
hijr ki chot ajab sung-shikan hoti hay
dil ki be-faiz zaminon se khazanay nikalay
Umar ghuzari hay shab-e-taar main ankhain maltay
kis ufaq say mera khurshiid na janay nikalay
dil nay ik eint say tameer kiya taj-mahal
tu nay ik baat kahi lakh fasane nikalay *