dil mera torr diya usnay bura kyun maanoo

dil mera torr diya usnay bura kyun maanoo
usko haq hai woh mujhay piyar karay ya na karay

pahlay maaloom na tha aaj yeh main nay samjha
piyaar kahtay hain jisay hain woh hai dilo ka soda
dil ki dharkan ko bhala kaisay koi qaid karay
yeh tou aazad hai jahan chahay wahan aahain bharay
uskay rastay main khari kyun koi deewar karay

saaray waadon ka bharam pal main woh torr gaya
ghum kay jiskay mor par laa kar mujhay chor gaya
main usi morr ki dehlez par so jaoon ge
umar bhar uskay liyah ajnabi hojaoon gee
har sitam shoq sey mujh par dildaar karay

nice touchy song :k:

Re: dil mera torr diya usnay bura kyun maanoo

[QUOTE]
*Originally posted by Dania_2000: *
dil mera torr diya usnay bura kyun maanoo
usko haq hai woh mujhay piyar karay ya na karay

[/QUOTE]

That is right..... magar dill nahi manta

wah dania bahut khoob per yaar jab dil torta hai tu phir shikayaat kyo karti ho agar bura nahi lagta tu uss din keh rahi thee logh dil shanas kyo nahi hotay !

beautiful :(

bhut khoob:k:

Aap ne tu aur dukhi kar diya :(

beautiful :(

beautiful:teary3:

I think I heard this one somewhere.
very nice