Dil mein tum ho

Dil mein tum ho naz’a ka hangaam hai
kuch sahar ka waqt hai kuch shaam hai

kya isko kehte hain aaeena-e-husn
jo tumhara hogaya nakaam hai

dard-o-gham dil ki tabiyat ban chuke
ab yahan araam he araam hai

wo sarapa naaz, unn se kya gila
tujh se shikwa gardish-e-ayyam hai

**kijiye kya duur sharh-e-zindagi **
kuch sahar kuch do pahar kuch shaam hai

aik bosa uss lab-e-jaa’n baqsh ka
umr bhar ke waaste inaam hai

hoshyaar o kamiyab-e-zindagi
zindagi nakamiyon ka naam hai

By: Jigar Moradabadi

Re: Dil mein tum ho

{{dard-o-gham dil ki tabiyat ban chuke
ab yahan araam he araam hai

wo sarapa naaz, unn se kya gila
tujh se shikwa gardish-e-ayyam hai

kijiye kya duur sharh-e-zindagi **
**kuch sahar kuch do pahar kuch shaam hai}}

kia kehnay mir g nice sharing:)

Re: Dil mein tum ho

hoshyaar o kamiyab-e-zindagi
zindagi nakamiyon ka naam hai


very thought provoking indeed ...
another good one mirabbas ....

Re: Dil mein tum ho

Kya behtareen ghazal hai...
Wahhh...
*Khush rahiye...:) *

Re: Dil mein tum ho

Mir..... kia kehney apke intekhab ke,,, Behtareen,,, Buhat umda


Koa khaber thi phir naya waqt e safar aa jaye ga
mai to samjha tha safar ke bad gher aa jaye ga