*** dil mei'n kisii ki raah kiye jaa rahaa huu.N mai'n***

As-salam-o-aliakum!!! umeed haaii aap sab kheriyat se hngy !!! aap logo ki khidmat mein Jigar moradabadi ki ek ghazal share ker raha huU.N … Umeed kerta huU.N aap logo ko pasand ayegii !!

**dil mei’n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.N mai’n
kitnaa hasee’n gunaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

duniyaa-e-dil tabaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n
sarf-e-nigaah-o-aah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

fard-e-amal siyaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n
rahmat ko bepanaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

aisii bhii ik nigaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n
zarro.n ko mahar-o-maah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

mujh se lage hai’n ishq kii az’mat ko chaar chaa.Nd
Khud husn ko gavaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

maasuumi-e-jamaal ko bhii jis pe rashk ho
aise bhii kuchh gunaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

aage qadam ba.Dhaaye.n ji.nhe.n suujhtaa nahii’n
raushan chiraaG-e-raah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

tanaqiid-e-husn maslahat-e-Khaas-e-iishq haii
ye jurm gaah-gaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

gulshan_parast huu.N mujhe gul hii nahii’n aziiz
kaa.NTo.n se hii nibhaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

yuu.N zi.ndagii guzaar rahaa huu.N tere baGair
jaise koii gunaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n

mujh se adaa huaa hai ‘Jigar’ justajuu kaa haq
har zarre ko gavaah kiye jaa rahaa huu.N mai’n
**
** “JIGAR MURADABADI”**

Re: *** dil mei'n kisii ki raah kiye jaa rahaa huu.N mai'n***

wonderful :)

**tHnX DAANIE :aliyish: **

Bohat hi khoob Adeel..:lajawab:

*ThNx ARYAAN bro ... :) *