Agar kisi ke dil mein koi basta ho tu dil mein sirf aur sirf us basnay wale shaks ki Muhabbat ka mausam thehar sa jata hai aur dil mein basnay wale shaks ki zara si inayat se dil shaad hojata hai aur zara si berukhi se dil nashaad hojata hai … Kuch aisi hi surat-e-haal Amjad Islam Amjad ne apni is khobsurat ghazal mein bayyan ki hai … Aap sab ki nazar …
Koi mausam ho dil mein hai teri yaad ka mausam
Ke badla hi nahee Janaan tumhare baad ka mausam
Nahee tau aazma ke dekh lo, kaise badalta hai
Tumhare muskurane se dil-e-nashaad ka mausam
Sada teeshay se jo nikli, dil-e-shereen se utthi thee
Chaman khusro ka thaa lekin raha Farhad ka mausam
Parindoo ki zuban badli kaheen se dhoond le tu kabhi
Nae tarz-e-fugan ay dil ke hai ijaad ka mausam
Ruttoon ka qaaeda hai wakt per yeh aati jaati rehti hain
Hamare shehar mein kyon ruk gaya fareyaad ka mausam
Kaheen se us haseen awaaz ki khushboo pukareygi
Tu us ke sath badlega Dil-e-Barbaad ka mausam
Qafas ke baam-o-dar mein roshni si aee jati hai
Chaman mein aagaya shayad lab-e-azaad ka mausam
Na koi gham khizan ka hai, na khwahish hai baharoo ki
Hamare saath hai ‘Amjad’ kisi ki yaad ka mausam …