Dil mein ab yun

dil mein ab yun tere bhuule huwe Gham aate hain
jaise bichhre huwe kaabe mein sanam aate hain

ik ik kar ke huwe jaate hain taare roshan
merii manzil kii taraf tere qadam aate hain

raqs-e-may tez karo, saaz kii lay tez karo
suu-e-maikhaanaa safiiraan-e-haram aate hain

kuchh hamein ko nahin ehasaan uThaane kaa dimaag
Woh to jab aate hain maa_il-ba-karam aate hain

aur kuchh der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhii kam dukhtaa hai woh yaad bhii kam aate hain

Faiz ahmed faiz

Re: Dil mein ab yun

nyce ...:)

Re: Dil mein ab yun

Thanks sarmad :)

Re: Dil mein ab yun

wah wah Nice :k: