Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi ...

Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi
Hum hain hisaar-e-dard main, us ko khayaal hi nahi

Itna hai us sey raabta, chaooN sey jitna dhoop ka
Gar ye nahi hai hijar tou phir ye wisaal bhi nahi

Wo jo ana parast hai, mein bhi wafa parast hoon
Us ki bhi missaal nahi, meri bhi misaal nahi

Tum ko zubaan dey chukey, dil ka Jahaan dey chukey
Ehad-e-wafa ko tooR dain, apni majhaal bhi nahi

US sey kaho k do ghaRRi hum sey wo aa miley kabhi
Mana ye hai mahaal per, itna mahaal bhi nahi …
*

Good stuff.

Woh jo ana parast hai, may bhi wafa parast hoon :k:

Bahut Khoob! thanks for sharing!

Re: Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi …

In my case its not just Mahaal… Its Impossible. :frowning:

Sorry I forgot to tell you that I really liked it. Thats why I edited it again.

Purani yaadaiN taaza kardiN.

Thanks :flower1:

Re: Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi …

zabardat :flower1:

^ Thanx x-com, Taj mahal.. :)

Re: Re: Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi …

:frowning:

pasand kernay ka shukeriya.. :slight_smile:
waisey ye hai kis poet ki? mujh ko nahi pata..

==========================

Thanx Sharara… :slight_smile:

good:k:

^ Thanx... :)

Zabardast....

Dil main na hoo jurat tu mohabat nahi miltee
Khairat main itni bari dowlat nahi miltee

bohat acha shair hai :k:

Re: Re: Re: Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi ...

[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *

:-(

pasand kernay ka shukeriya.. :)
waisey ye hai kis poet ki? mujh ko nahi pata..

[/QUOTE]

Somnaat Ka mandar maiN ne nahiN toRa tha :(

Re: Re: Re: Re: Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi ...

[QUOTE]
*Originally posted by Black Mamba: *

Somnaat Ka mandar maiN ne nahiN toRa tha :(
[/QUOTE]

aap sey umeed ki bhi nahi jaa sakti.. :p

Re: Re: Re: Re: Re: Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi …

:blush:

Phir ham se kya Umeed ki ja sakti hai?

Re: Re: Re: Re: Re: Re: Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi …

hummmmmm (loose ball :nono: )

:k:

Wah Wah Wah

Re: Re: Re: Re: Re: Re: Dil main wafa ki hai talab, lab pe koi sawaal bhi nahi …

kam sey kam mujhey kia pata… :-p

=================

Thanx Capi & Bewakoof… :slight_smile: