**dil main tou woh utar gaye aankhon kay raastay
aajain gay qareeb bhi baaton kay raastay
woh log tou pighal gaye aankhon kay saamnay
jo chal diyah thay dhoop main sayon kay raastay
pahlay tou woh simat gaye apni qabaa main khud
kyun dhoondtay hain ab meri baanhon kay raastay
kitna kathin hai yeh safar andaza hogaya
jab paon main banay meray kaanton kay raastay
milnay ki mujh sey jab koi surat nahi rahi
milnay woh mujh sey aai khuabon kay raastay
shehzad~ jab sey phool unhonay mujhay diya
har phool par hain band kitabon kay raastay
**
Wonderful :k::k::k:
nice :)
:k: bohat khooooob ![]()
[QUOTE]
.shehzad~ jab sey phool unhonay mujhay diya
har phool par hain band kitabon kay raastay
[/QUOTE]
wah ...