system
1
Bheir main aik ajnabi ka saamna acha laga
Sub sey chup ker kissi ka daikhna acha laga
Surmaii aankhooN kay neechay phool sey khilney lagey
Kehtay kehtay kuch kissi ka soochna acha laga
Baat tu kuch bhi nahi thee lakin us ka aik dum
Haath ko hoontooN per rukh ker rookna acha laga
Dil main kitney ehhad baandhey thay bhulaney kay ussey
Wo mila tu sub irraadey toorna acha laga
Us eooduoy-e-jaan ko *Amjad mae bura kaisey kahoon
Jub bhi aaya saamney wo bay-wafa acha laga
*Amjad Islaam Amjad
Azad
3
haan yeh to hay bewafa say bewafaii karna muskhil hay
Amal
4
Re: Dil main kitney ehhad baandhey thay bhulaney kay ussey…
Beautiful ghazal:k:…thanx for sharing:)
system
5
Thanx ameen :)
bewafaaii koun ker raha hai Azad??
Azad
6
[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *
Thanx ameen :)
bewafaaii koun ker raha hai Azad??
[/QUOTE]
humm wahi
Azad
8
Sudaii jee bohut hi khoob
Us eooduoy-e-jaan ko *Amjad mae bura kaisey kahoon
Jub bhi aaya saamney wo bay-wafa acha laga
sweet one :k:
thanks for sharing
nikii
10
Re: Dil main kitney ehhad baandhey thay bhulaney kay ussey…
zaberdast :k:
maire all time favourites main se aik poem hai ye thanx for posting it Viv!