Dil ko laga tujh say!!

dil ko laga ke tujh se badi uljhanaon mein hoon
hoon dostoon mein teray ya mein dushmanoon mein hoon

mar bhi gaye firaaq mein tere to kyaa huaa
yoon bhi shumaar teri bahut nafraton mein hoon

ab kat raha hai daayron mein umr ka ye safar
kaise nibhaaun rishta-e-dil, bandhanon mein hoon

ghar mohabbat ka toot ke saara bikhar gaya
ab doondta nishaan zameen ki silvaton mein hoon

kaisa naseeb khel raha khel hai ajab
daaman hai khaali phir bhi badi hasraton mein hoon

bimaar dil ka haal na tu pooch door se
pehloo mein aa ke dekh ghum-e-zulmaton mein hoon

kaisa inaam meri ye sab chahton ka hai
rusva ho ke bhi kin hasraton mein hoon

very Nice Lamhay sis:) Thanks for sharing

Iss Dil Ko Abhii Dard Chopanay Nahi Ayy....
Aur Ankh Ko Bhi Asahk Bahanay Nahi Ayy.......

Main TEaraey LIa Taj Mahal Shoaq Say Likhte.....
Lafzoon K Nagar Mujhko Basanay Nahi Ayy....

Yea Soach K Raothe Thi K Woh Aiin Gay Manany....
Bas Dukh To Yeahi Hay K Woh Mananay Nahi AY....

Mana K Mohabat K Ameen Ho Sakay N ahUm ....
Woh Bhi To Koi Deep Jalanay Nahi Ayy....

Daryea-e- mohabat main jo doabon to hay yea lkhuwasih

US WAQT MUJHAY KOI BACAHNAY NAHI AAY ....

Mein tu is waastay chup hoon ke tamaasha na banay ... !
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahee ... !

:) nice :)

Re: Dil ko laga tujh say!!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

ab kat raha hai daayron mein umr ka ye safar
kaise nibhaaun rishta-e-dil, bandhanon mein hoon

kaisa inaam meri ye sab chahton ka hai
rusva ho ke bhi kin hasraton mein hoon
[/QUOTE]

V nice thanks 4 sharing.........:)

thanks niki sis nikamibehen ,tasbeeh :)

Lamhay,

Kya khayal hai mein yahaan per poori kahaani likh doon ke bhagne per kis ne majboor kiya aur kis ka pyar sacha thaa aur kis ka jhoota?

I think gupshup ke baseyoo per yeh chor dena munasib raheyga ke kaun sahi thaa aur kaun galat... !

Kya farmaati hain aap is bare mein? Aap ne tu achi khaasi shohrat karwa di apni posting mein hamari !

arif and lamhay :rolleyes:

btw

Nice gazal :slight_smile:

hmm

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
ap aur pyar wat a joke huh

ye tu ap ko waqt batayega ahaan waqt nahin woh jin ki wajha say mulakaat hui thee aur raha sawal bhagnay ka tu ye mohabbat thee k ap ki fikar main kaha aur log tu bhag gaye aur palaat kar khabar nahin li khwauf e maut kehlijye!! ye bhi na socha uska kiya hoga jisnay fikar
main kaha k bhaag jaoo! ajab baat hai na daway tu bahut hotay hain per hotay zero hain! aur pyar un sahab k nazdeek kis shaye ka naam hai ye ab jana main nay zara ap ko deer say pehchana !! aur story yahan likhnay ki zaroorat nahin yahan logh poem parhnay atay hain !
well jo sacha hoga uskay saath acha hi hota rahay ga aur jo jhoota hoga usko khudh hi andaza hojayega pyar main sauda nahin !
Sach aur jhoot ka jald hi sarkar faisala sarkar kariengey kaun ghalat tha kaun sahi wait for that!
[/QUOTE]

Lamhay, I think now you are crossing your limits, har baat ko bardasht karne ki ek had hoti hai ! Agar mein shuroo hogaya tu phir na kehna !

Aur rahi baat yeh ke yahaan kahaani nahee post parhne atay hain log, tu shayad kahaani tu khud aap ne bayyan kar di hai, mein ne tu aisa kuch nahee kahaa... !

Pyar jis se kiya jata hai hamaare nazdeek uski ruswaee nahee ki jaati, shayad aap ke haan aisa hota hai ! haan aisa hi hota hai ! Beyshak !

limits practical life main ap nay cross ki hain ye tu sirf aik gupshup ki jagha hai asal zindagi main kisnay kia kirdaar anjaam dia hai ye wohi janay!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
limits practical life main ap nay cross ki hain ye tu sirf aik gupshup ki jagha hai asal zindagi main kisnay kia kirdaar anjaam dia hai ye wohi janay!
[/QUOTE]

Practical life mein akelay mein ne kiya? Aap shamil nahee thee???
Nahee aap ki tu ankhain band thee na jo bakol aap ke ab khul gae hain (huh)

kasam jhooti remmember!

nice:k:

Ghazal to buhat achee hai lamhay magar yeh naunk jhaunk kuch samajh naheen aatee!
I have an advice; why dont you just speak up everything you have in one go and in detail? If arif wants to have GS peoples' poll on right and wrong, why dont he goes for it like Pervaiz Musharaf did;)

[QUOTE]
*Originally posted by Capricorn: *
Ghazal to buhat achee hai lamhay magar yeh naunk jhaunk kuch samajh naheen aatee!
I have an advice; why dont you just speak up everything you have in one go and in detail? If arif wants to have GS peoples' poll on right and wrong, why dont he goes for it like Pervaiz Musharaf did;)
[/QUOTE]

thanks 4 the advice capricorn ji per ab iski zaroorat hi nahin rahi :(