ab to yahii hain dil kii duaayen
bhuulane waale bhuul hi jaaye.n
wajah-e-sitam kuchh ho to bataaye.n
ek mohabbat, laakh Khataaye.n
dard-e-mohabbat, dil me.n chhupaayaa
aa.Nkh ke aansuu kaiise chhupaayen
hosh aur un kii diid kaa daawaa
dekhanewaalen, hosh men aayen
dil ki tabaahii bhuule nahiin ham
dete hain ab tak unko du’aayen
rang-e-zamaanaa dekhanewaale****
un kii nazar bhii dekhate jaayen
shuGl-e-mohabbat ab hai ye ‘Taskii.n’
sher kahen aur jii bahalaayen