aik din jub swairay swairay
surmaee say undhairay ki chaadar hataa k****aik perbut k takyaa say soruj nay sur jo uthaya
tau daikha
dil ki waadi main chahut ka mausam aaya
aur yaadon ki daaliyoon par
un-ginut beetay lamhoon ki kaliaan
mahuknay lagee hain
unkahi unsunee aarzoo
aadhee soee huee aadhee jaagi huee
aankhain maltay huay daikhtee hain
layhur dar layhur, mauj dar mauj
bahtee huee zindagee
jaisay hur pul naee aur phir bhee wohee
haan wohee zindagee
jis k daamun main koi mohubat bhee hay, koi husrat bhee hay
paas aana bhee hay, dour jana bhee hay
aur ye asaas hay
waqt jharnaay sa bahta hua, ja raha hay ye kahta hua
dil ki waadee main chahut ka mausam hay aaya
aur yaadoon ki daaliyoon par un-ginut beetay lamhoon ki kuliyaan mahaknay lagee hain….