Mukesh: dil ki nazar se, nazaron ki dil se
ye baat kyaa hai, ye raaz kyaa hai
koi hamein bataa de
dheere se uthakar, hothon pe ayaa
yeh geet kaisaa, yeh raaz kyaa hai
koi hamein bataa de, dil ki nazar se …
Lata: kyon bekhabar, yoon khinchiisii chalii jaa rahee main
yeh kaunase bandhanon mein bandhee jaa rahi main
kuchh kho raha hai, kuchh mil rahaa hai
ye baat kyaa hai, ye raaz kyaa hai
koee hamein bataa de, dil kii nazar se …
M: ham kho chale, chaand hai ya koee jaaduugar hai
yaa, madabhari, yeh tumhaari nazar kaa asar hai
sab kuchh hamara, ab hai tumhaaraa
yeh baat kya hai, yeh raaz kya hai
koee hamein bataa de, dil kii nazar se …
L: aakaash mein, ho rahein hain ye kaise ishaare
kyaa, dekhakar, aaj hain itane khush chaand-taare
kyon tum paraaye, dil mein samaaye
ye baat kyaa hai, ye raaza kyaa hai
koee hamein bataa de, dil kii nazar se …