koi dil ki hathailee pay hay sehra rukhay
kis ko sairab karay woh kisay piyasa rukhay
umer bhar kaun nibhata hay taluq itna
ayae mere jaan ka dushman tujhay Allah rukhay
hum ko acha nahin lagta koi hum naam tera
koi tujh sa ho to phir naam bhe tujh sa rukhay
dil bhe is shakhs say wabasta hay
jo kisi aur ka honay day nan apna rukhay
qanaat hay attaat hay keh chahat Faraz
hum to raze hain woh jis haal main jaisa rukhay