**Dil Ki Dil Main Na Rah Jaaye Ye Kahaani Kah LO
Chahay Do Harf Likho Chahay Zabani Kah LO
Main Nay Marnay KI Dua Maangi Who Puri Na Hui
Bus Is Ko Mayray Jeenay Ki Kahani Kah LO
Sar_Sar-e-Waqt Uraa Lay-Gaee Rudaad-e-Hayaat
Whohi O-raaq Jinhain Ahad-e-Javani Kah LO
Tum Say Kahany Ki Nai Thi Baat Magar Kaha Bhi Tha
Ab Issay Mari Tabiyat Ki Ravani Kah LO
Vahi Ik Qissa Zamanay Ko Mayra Yaad Raha
Vahi Ik Baat Jisay Aaj Purani Kah LO
Hum Pay Jo Guzri Hay Bus Us Ko Raqam Kartay Hain
Aap Biti Kaho Yaa Marsiya_Khowani Kah LO**