Jaan gaye, tou maan liya
Youn tujh ko pehchaan liya
Dunya bhaidoon wali ne
Kaisa parda taan liya
Dil waalon ki basti se
Tu ne kya samaan liya
Mushkil se hull hota hai
Qiss’sa jo asaan liya
Kya maanain Dil ki baat
Dil bhi tou nadaan liya
Manzil phir bhi doour rahi
Sehraoun ko chaaan liya
Meethay Meetahy boolon ka
Dil ne kaisa daan liya ![]()