Dil ki chokhat py jo ik deep jala rkha hai,
tere lot Aany ka Imkan Bana rkha hai!
Tum jisy rota huwa chhor gaye they ik din,
Ham ne us sham ko seenay se lga rkha hai.
Chain leny nhi deta ye kisi trha mujy,
Teri yadon ne jo tofan utha rkha hai.
Jany walay ne kaha tha k wo loty ga zrur,
ik esi Aas py drwaza khula rkha hai,
Mujko kal sham se wo yad boht any laga “wasi”
Dil ny mudat se jo ik shks bhula rkha hy.