aadaab dosto!
GhazloN ke silsile kii aglii kaRii haazir-e-Khidmat hai. hasb-e-maamuul, aap kii raae kaa intizaar rahegaa.
**Ghazal
dil ki be-chainii ne apnaa kaam aaKhir kar diyaa
tujh se mere raabte ko aam aaKhir kar diyaa
Dar tha jis kaa daastaan-e-ishq meN aaGhaaz se
vaqt ne meraa vahii anjaam aaKhir kar diyaa
seekh lenii theeN zamaane se zaraa chaalaakiyaaN
saadagii ne ishq meN naakaam aaKhir kar diyaa
maiN na kahtaa thaa ki daulat ki havas se bach zaraa?
fikr ne Ghaarat tiraa aaraam aaKhir kar diyaa
haaye re laalach ki bas do chaar daanoN ke liye
ham ne Khud ko aaj zer-e-daam aaKhir kar diyaa
umr bhar jis kii hifaazat kii, gayaa vo haath se
ham ne apnaa dil tumhaare naam aaKhir kar diyaaa
kyaa Khabar ‘Waseem’ muqaddar ne hamaari zeest ko
kyoN supurd-e-gardish-e-ayyaam aaKhir kar diyaa !!!**
Waseem Ahmed