Dil ki basti ajeeb basti hae,
lootney waley ko tarasti hae,
ho qina’at jo zindagi ka usool,
tang dasti faraakh dasti hae,
jins e dil hae jahan main kamyaab,
phir bhi ye shay ghazab ki sasti hae,
hum fana ho k bhe fana na huwey,
naisti ek tarah ki hasti hae,
aankh ko kia nazar nahi aata?
aber ki tarah barasti hae…………..
Restored attachments:
