dil ki baat labon par laakar ab tak hum dukh sahtay hain
hum nay suna tha iss batti main dil walay bhi rahtay hain
beet gaya saawan ka mahina mausom nay nazrain badli
lekin in piyaasi aankhon sey ab tak aansoo bahtay hain
ek humain awara kahna koi bara ilzaam nahi
duniya walay dil walon ko aur bohat kuch kahtay hain
jin ki khaatir shehar bhi chora jin kay liyah badnaam huay
aaj wohi hum sey beygaanay beygaanay sey rahtay hain
very nice :k:
:k: bohat khoooob