DiL ki Awaaz
"main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta …
chahta hoon main tujhe aaj bhi par,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta…
tamasha naa ban jaaye kahin mohabbat meri …
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta…
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main…
tere liye khuda se taqraar nahi karta …
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim…
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta