~* Dil ki Aag *~

Azeez itna hi rakho, kay Jee behel jaye
Ab iss Qadar bhi na chaho, kay dam nikal jaye

Millay hai youn tou bahot, Aou ab millain youn bhi…
kay rouh garmi-e-anfaas se pi’ghall jaye

Mohabbatoon main ajab hai diloon ko dharka sa
Kay kaun jaanay kahaan Raasta badal jaye

Rahay woh dil jo Tamanna-e-taazatar main rahay
Khusha woh umr jo khowaabon hi main baehel jaye

Main wo chiraagh sar-e-rah guzaar-e-dunya hoon
Jo apni zaat ki tanhaiyoon main dhal jaye

har aik lahaiz yehi aarzo yehi hassrat
Jo aag dil mai hai, Wo Shair mai bhi dhal jaye…

:k: thanks 4 sharin..:slight_smile:

bahut khoob choice !thanks 4 sharing.

Thnx for sharing:flower1:…

hmmmm…pretty good :k:

good :k::k: