Zindagi ki raahoon mein
Ek lamha lagta hai
Dil kisi pe aane mein
Ek lamha lagta hai
Mujh ko bhi mila thaa woh
Jis ko dekhte hi dil
Be-tahaasha dharka thaa
Mujh se keh raha thaa woh
Tum se pyar hai mujh ko
Muskura ke mein ne bhi
Phool le liya us se
Haath, haath mein le kar
Pyar ke ataa karda
Aasmaan pe hum donoo
Chaahatay thay saath urna
Aasmaan pe jeewan bhar
Koi urrh saka hai kya?
Haath, haath se choota
Ek sitaara jo toota
Tab khabar huwi mujh ko
Ek lamha lagta hai
Dil ke toot jaane mein
Aur umer lagti hai
Kirchiyaan uthaane mein…