*Baray anjaan mausam mein
Bahut be-rang lamhoon mein
Bina aahat bina dastak
Bahut masoom sa sapna
Uttar aya hai aankhoon mein
Bina sochay bina samjhay
Kaha hai dil ne chupke se
Haan is masoom sapnay ko
Aankhoon mein jagah de do
Bina rokay bina bolay
Jhuda diya hai sar hum ne
Magar taabeer kya hogi
Na hum jaanay na dil jaanay
Bas maloom hai itna
**Ke dil ke faislay aksar
Humein kam raas aaye hain …***