Azad
1
Hum dil say dil kay safar main rahay
Ghangor ghaTa, to kabhi aankh pur num main rahay
Humain kab hosh raha soud o ziyaan ka
Dard e dil say dard e jigar kay bhanwar main rahay
Pal bhar ko milii aankh Jata raha bharum
Iss pal tak Uss pal kay assar main rahay
Kissi ki yaad ka lamha bhi kaisa lamha tha
Eik khwab sa khwab kay safar main rahay
Aisa nahi keh yahi ghum tha eik zamanay main
Buss uss kay ghum main her ghum say be-khabar hi rahay
Abhi thii saath woh tihreer main hanstii boltii
Palak jhapak main Woh apnay ghar Hum apnay ghar main rahay
Azad~ zindagi ka janaza na uTh saka
Kaii bar iss jahan say Uss jahan kay safar main rahay
Adab Arz
(Azad)
Dilsay
2
Kiya baat hai azad jee...
lagta hai aap ko mara nam bohat pasand hai...
:)
Kissi ki yaad ka lamha bhi kaisa lamha tha
Eik khwab sa khwab kay safar main rahay
beautifulllll :k:
keep it uppp 
Azad
5
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Kiya baat hai azad jee...
lagta hai aap ko mara nam bohat pasand hai...
:)
[/QUOTE]
koi baat nahi Dilsay jee
na sirf aap ka naam bohut pasand hay ... aap ko lagta nahi keh aap kay hawalay say Dug Dugi bhi bohut pasand hay ;)
Azad
6
Chaad_chera Nawzish!
koi chand hi hay jo chehra karay baghair apnay khwab daikhata rehta hay 
system
8
beautuful, keep it up .. :k:
Galaxy
9
wah yaaar ..........buhat khoob
bohut khoob Azad:k::k:
keep it upp:)
Re: Dil kay safar main rahay
achhi kawish he :k: … keep it up
Azad
14
Re: Re: Dil kay safar main rahay
Nawazish Rameesha jee
thanks
per mujhe ap ka attitude samhaj mein nahi aa raha:confused: kahen ap mujhe pe tanz kartae hain aur kahen ap…