Dil Ka Taqaza

***Ik Gazal us pe likhun dil kaa takaaza hai bahut
in dinon Khud se bichhar jaane kaa dharkaa hai bahut


*** raat ho din ho Gafalat ho ki bedaari ho
us ko dekhaa to nahin hai, use sochaa hai bahut


*** tashnagi ke bhi muqaamaat hain kya kya yaani
kabhi dariya nahin kaafi, kabhi qatra hai bahut


*** mere haathon ki lakiron ke izaafe hain gavaah
main ne pathar ki tarah Khud ko tarasha hai bahut


*** koi aya hai zarur aur yahan Thehra bhi hai
ghar ki dehaliz pe he-nur ujala hai bahut ***

very nice :k:

Re: Dil Ka Taqaza

buhat khoob :-)

Re: Dil Ka Taqaza

thanks gazal likhnay ka :slight_smile: muj pe :blush: