Dil k aatishdan main shab bhar

**Dil k aatishdan main shab bhar
Kaisay kaisay gham jaltay hain!!!

Neend bhara sanata jis dam
Basti ki ik ik gali main
Khirki khirki tham jata hai

Dewaron per dard ka kohra jum jata hai
Rasta taknay wali aankhen or qindelain bujh jati hain

To us lamhay,
Tery yaad ka endhan ban kar
Shola shola hum jaltay hain
Doori k mosam jaltay hain

Tum kya jano,
Qatra qatra dil main utarti or pighalti
Raat ki sohbat kya hoti hai!

Ankhen saray khawab bujha den
Chehry apnay naqsh ganwa den
Or ainay aks bhula den
Aisay main umeed ki wehshat
Dard ki sorat kya hoti hai

Aise tez hawa main piyaray,
Barray barray muunh zor diye bhi kam jaltay hain

Dil k aatishdan main shab bhar
Teri yaad ka eendhan ban kar
Hum jaltay hain …!**

Re: Dil k aatishdan main shab bhar

:lajawab: