Dil Jalaanay ki Baat Kartay Ho

Aashiyaanay Ki Baat Kartay Ho
Dil Jalaanay Ki Baat Kartay Ho


Saari Dunya K Ranj-O-Gham Day Kar
Muskuraanay Ki Baat Karte Ho


**Humko Apni Khabar Nahi Yaaro
**Tum Zamaanay Ki Baat Kartay Ho


Zikr Mera Suna To Chirr K Kaha
Kis Deewaanay Ki Baat Kartay Ho???


Hadsa Tha Guzar Gaya Hoga
Kis k Jaanay Ki Baat Kartay Ho

Re: Dil Jalaanay ki Baat Kartay Ho

Wah Wah kia baat ki hay wah ji...

Re: Dil Jalaanay ki Baat Kartay Ho

wah wah bohat aala................wonderful!!!!!!!

Re: Dil Jalaanay ki Baat Kartay Ho

Classic

Re: Dil Jalaanay ki Baat Kartay Ho

classic indeed.

Re: Dil Jalaanay ki Baat Kartay Ho

saari dunyaa k ranj-o- gham dekar muskuraany ki baat karty huu..... good

Re: Dil Jalaanay ki Baat Kartay Ho

Kis ke janay ki baat kartay ho wah umda

Kis nay key dil jalanay key baat:)

P.S nice sharing:)