Dil ishq main be-payan, soda ho to aysa ho
Darya ho to aysa ho, sehra ho to aysa ho
Ik khal-e-sweeda main pinhai-e-do alam
Phela ho to aysa ho, simtta ho to aysa ho
Ay qais-s-janoon pesha, Insha ko kabhi dekha
Wehshi ho to aysa ho, ruswa ho to aysa ho
Darya-ba-habbab andar, toofan-ba-sahab andar
Mehshar-ba-hijab andar, hona ho to aysa ho
Ham se nahi rishta bhi, ham se nahi milta bhi
Hai paas wo betha bhi, dhoka ho to aysa ho
Wo bhi raha begana, ham ne bhi na pehchana
Haan ay dil-e-deewana, apna ho to aysa ho
Is dard main kya, kya hai, ruswai bhi lazzat bhi
Kanta ho to aysa ho, chubhta ho to aysa ho
Ham ne yahi manga tha, uss ne yahi bakhsha hai
Banda ho to aysa ho, Datta ho to aysa ho.