dil hum ne us k naam pe waara hua to hai

zaahir shumaal mein koi taara hua to hai
izn-e-safar ka aik ishaara hua to hai

kya hai jo rakh dein aakhri daao mein naqd-e-jaa’n
waisay b hum ne khel ye haara hua to hai

wo JAAN, usko kher khabar hai bhi ya nahi
dil hum ne us k naam pe waara hua to hai

paaon mein na-rasaee ka ek AABLA sahi
is dasht-e-gham mein koi hamaara hua to hai

us bewafa se humko ye nisbat bhi kam nahi
kuch waqt hum ne sath guzaara hua to hai

Re: dil hum ne us k naam pe waara hua to hai

aye haye!

Re: dil hum ne us k naam pe waara hua to hai

:aq:

Re: dil hum ne us k naam pe waara hua to hai

superb janab abla g, specially your nick appearing in it; thanks for sharing

Re: dil hum ne us k naam pe waara hua to hai

Good one..

Re: dil hum ne us k naam pe waara hua to hai

nice :k:

Re: dil hum ne us k naam pe waara hua to hai

thankU MunchOO
eemaan[dar] and RED ROSES