dil hi dil mein...*songs*

The movie sucked…the hero sucked…but the songs :k:

i just love 'em…they are sooooooooo goood.
i never get tired of 'em.

lately i’ve been hooked on 'em…these are the only songs i’m listening to these days :bummer:

10736.05-AudioTrack 05
**rojaa rojaa
roja rojaa roja rojaa
mayri hojaa

roja rojaa
mayri hojaa
aik nazar mayn kho gaya dil
payee tujh mayn pyaar ki manzil

chonay na don tujhay chanda ko
chanchal hawa ko baharon ko
sawan ki rim jhim khumaron ko
na chonay donga na chonay donga

roja roja
roja roja

saya bhi tera giray na zameen pay
badal sa chaya rahonga tujh pay
yeh sooraj ki teron si kirnayn bhi naa chub nay payen tujh ko
roja roja
halka sa tabassum tera
khilta hay dekho na hur gulsitan
chupti hay nazaron mayn tu
poochay nazar mujh say tu hay kahan
roshan hay tujh say mayra yeh jahan
ay haseen sun zara
mayray dil ki zuban
raat din hay mujhay teri tarap ab yahan
tera hi ziker hay teri hi fiker hay
roja roja..roja roja
roja roja..roja roja
mayri hojaa

aik nazar mayn kho gaya dil
payee tujh mayn pyaar ki manzil

qudrat ki khoob nishani hay
ulfat ki jo naa kahi gayee tu kahani hay
dil bolay umr bhar ji bhar bhar parhta hi rahon tujh ko
ay mayri roja roja
sharmo haya aur adayen teri
un pay luteen jana yeh jaan mayri
pholon ki nazar na lagay
ankhon mayn aja chupa lon mayri
mayra kyaa sab kuch ab to hay tera
dil mayra nazrana
dya tujhay ay sanam
dil tera ashiyana
hay mayra kya sanam

kehday zara
to jaan tujhay
daydon roja roja
roja roja
roja roja roja roja

roja roja
mayri hoja
aik nazar mayn kho gaya dil
payee tujh mayn pyar ki manzil

roja roja
roja rojaa
mayri hojaa

:hula::hula:**

**10736.01-AudioTrack 01
aye nazneen suno naa
aye nazneen suno naa
humayn tum pay haq to do na
chahay to jaan lo naa
keh dekha tumhayn to hosh ur gaye
hont jaysay khud hi sil gaye
yeh hont jaysay khud hi sil gaye

aye nazneen suno naa
humayn tum pay haq to do na
chahay to jaan lo naa
keh dekha tumhayn to hosh ur gaye
hont jaysay khud hi sil gaye
yeh hont jaysay khud hi sil gaye

lagta hay keh tum ko
rab nay banaya jiss dam
apni qudraton ko us nay tum mayn kardya tha gum
is jahan ko husn batna bhi kardya tha kam
teekhay teekhay nayna shay teray
kalyon say komal hont terey
pholon say nazuk paon teray
dono jahan qurban teray
tarasha pyaar say jisay
rab nay woh moorat ho tum
sangtarashon ki jaysay devi tum
tum sa jahan mayn koi naa

aye nazneen suno naa
humayn tum pay haq to do na
chahay to jaan lo naa
keh dekha tumhayn to hosh ur gaye
hont jaysay khud hi sil gaye
yeh hont jaysay khud hi sil gaye

parda khayalon ka hay
sach much zara samnay aaa
chand ko mayn tukta hon
par teri shakal ankhon mayn
ji jalaye chandni bhi thandi thadi raoton mayn
naata neendon say toot gaya
teray layy ay mayray haseen
dil ko yaqeen hay bhi hay magar
ayega aysa din bhi kabhi
jab mlulaqatayn bhi hongi
meethi si batayn bhi hongi
pyaar bhari ratayn bhi hongi
aaanay ki khabar do naa

aye nazneen suno naa
humayn tum pay haq to do na
chahay to jaan lo naa
keh dekha tumhayn to hosh ur gaye
hont jaysay khud hi sil gaye
yeh hont jaysay khud hi sil gaye

:hula::hula:**

**10736.02-AudioTrack 02 perfect dandiya song :hula:

chand aya hay zameen pay
aaj garway ki raat mayn
chupay hay woh yaheen kaheen pay
aaj garway ki raat mayn

aray dhondo dhondo ray
sharma raha hay woh
kuch to baat hay
jo aya woh

mauqa hay yeh kehnay sunnay ka
mauqa nikalnay na do

chand aya zameen pay
aaj garway ki raat mayn
chupay hay woh yaheen kaheen pay
aaj garway ki raat mayn

chup tumharay un labon pay bhi hay
chup humaray in labon pay bhi hay
bolti hayn nigahayn mayray yaar
mayray yaar

haseen ho sanam tum
chand say bhi zyada
gehri hayn zulfayn
jaysay raat koiee

tarefayn karo naa
itni bhi zyada
rukay na sharam say sansayn mayri

jo dil mayn hay bolon mayn
bus tum ko bhi dekhon mayn
jeewan yoonhi beta dhuan hon
mayray yaar
mayray yaaaarr

chand aya zameen pay
aaj garway ki raat mayn
chupay hay woh yaheen kaheen pay
aaj garway ki raat mayn

pyaar sa nahin jahan mayn koi
yaar sa nahin jahan mayn koi
dono kay bina yahan pay jeena kya
mayray yaar

pehli nazar nay
lota tha dil ko
jadugar sa naam mila tum ko

itni mohabbat do gay jo ham ko
kam hi paraygi zindagi ham ko
janmon ka nata hay yeh
pyaar wafa ka rishta hay yeh
totay na yeh bandhan dekho
hoohoo..mayray yaaaarr.

:hula::hula:**

**Good shadi song:hula:
10736.06-AudioTrack 06

10736.03-AudioTrack 03
imtehan hum pyaar ka daykay
raah dekhay kya hay nateeja
naa aya yaqeen dil ko
jab naam apna dekha
kaghaz pay woh teray dil kay
yeh ankhayn huiee hayran

sach sach hay jo dekha hay
dilbar tan man apna hum nay wara tum pay
dola dola..dola dola…munn dola dola

gori gori yeh kalayee teri cholon zara
teri choryon say dhun koi cheron zara

teray roop ki sharab
ankhon say peetay hayn

zindagi yoonhi beet rahi thi sanam
teray milnay say jeenay mayn aya hay dumm

mayra roop hay tum say khila khila
khushyan ka hay tum say hi silsila

mayn nay rab say jo mangi dua dua
unhin duan ka tum hi to ho na sila sila

ab to pyar ki barsat
honi hay dil raat

chahay kuch hon halat
dena pyaar ka saath

:hula::hula:**

:love:

p.s. urdu mein likhney ki zaroorat nahi thee, hum behrey nahi hain :hoonh: :snooty:

Allah jeee :love:
all these songss r sooo good
i like “aye nazneen suno na” :hula::blush:

lo jee :smack: hamara bhai DT toh pehle hi dewana tha ab toh bilkul hi kaam se gya :smack:

Kaifaa antaa yaa akhi?:(

Re: dil hi dil mein…songs

roja roja?? why is the guy asking us to cry?

Re: Re: dil hi dil mein...songs

[QUOTE]
*Originally posted by seeker: *

roja roja?? why is the guy asking us to cry?
[/QUOTE]

roja means rose :)

DT what a nice collection :k:

i have the album :halo: its nice :k:

Yeah, I can listen to them any time.
'these are the songs you cant get tired off…
I love the shaadi waala, dadiyaa walaa and the nazneen song. :k:

my favourite of all is ay nazneen :)

nice songs:k:

[QUOTE]
*Originally posted by Qrius: *
my favourite of all is ay nazneen :)
[/QUOTE]

Yup mine too and mann dola dola :)

[QUOTE]
*Originally posted by ~Sehar~: *

Yup mine too and mann dola dola :)
[/QUOTE]

Yep... Aey Nazneen and dola dola are both beautiful. The movie sucked big time but these two songs we awsome.

:love:

:hula::blush::hula::blush:

nice songs :hula: