*royaa karengi aap bhi baharon isi tarah *
*atkaa kahin jo aap kaa dil bhi meri tarah *
*naa taab hijr main hai naa aaraam vasl main *
*kamabakht dil ko chain nahin hai kisi tarah *
*gar chup rahen to gham-e-hijraan se chhoot jaayen *
*kehte to hain bhale ki vo lekin buri tarah *
*na jaaye vaan bane hai na bin jaaye chain hai *
*kyaa keejiye hamen to hai mushkil sabhi tarah *
*lagati hain gaaliyaan bhi teri mujhe kyaa bhali *
qurbaan tere, phir mujhe keh le isi tarah
*hoon jaan_balab butaan-e-sitamagar ke haath se *
kyaa sab jahaan main jeete hain “Momin” isi tarah
Dil hai heer ki kaani jism gulaabon wala
dil hai heere ki kaani jism gulaabon waalaa
meraa mehboob hai dar_asl kitaabon waalaa
husn hai rang hai shokhi hai adaa hai us main
ek hi jaam magar kitani sharaabon waalaa
yaar aa_inaa huaa karate hain yaaron ke liye
teraa chehraa to abhi tak hai naqaabon waalaa
mujh se hogi nahin duniyaa ye tijaarat dil ki
main karoon kyaa ke meraa zahan hai khvaabon waalaa
too rahegaa na tere zulm rahenge baaqi
din to aanaa hai kisi roz hisaabon waalaa
husn-e-bebaak se ho jaati hain aankhen roshan
dil main utaraa hai magar roop hijaabon waalaa
jo nazar aataa hai haasil nahin hotaa 'Manzar'
zindgaanii kaa safar bhi hai saraabon waalaa
++++++++++++
[kaani = mine]
[saraab = mirage]
Re: Dil hai heer ki kaani jism gulaabon wala
nice stuff...