Zara si baat per her rasam tor aayaa tha
Dil-e-tabaah ne bhi kyaa Mijaaz paya tha
Maaf karna saki meri zindagi mujh ko
Wo ek lamha, k mai Tujh se Tang aaya tha
Guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
Abhi to mai use Pehachaan b na payaa tha
Pata nahi k mere baad un per kyaa guzri
Mai chand Khuwaab zamaane mai chor aaya tha!!
ASA
2
Re: Dil-e-tabah ne bhi kya Mijaz paya tha
very nice⦠:k:
Khanoo9
3
Re: Dil-e-tabah ne bhi kya Mijaz paya tha
wah wah....awesome...
Re: Dil-e-tabah ne bhi kya Mijaz paya tha
Buhat acchi ghazal....thnx for sharing!
Re: Dil-e-tabah ne bhi kya Mijaz paya tha
Beautiful Chup ankhiaN :)