zamana yaad tera aey dil-e-namaak aata hai
tapak partay hein aansu, jab wafa ka naam aata hai
wafa tum se karein gay, dukh sahein gay, naaz uthaein gay
jisay aata hai dil dena, usay har kaam aata hai
akele karwatein hein raat bhar bistar pay or hum hein
kahan pehlu ko khaali dekh kar aaraam aata hai ![]()
haseenon mein basar kar di jwaani AARZU hum ne
lagaana dil ka seekhay hein, yehi ek kaam aata hai