*
Meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka ilm nahi
Jisse tere ghum se ho wasta wo khazan bahaar se kum nahi
Mujhe raas aay Khuda kere ye ishtabah ki sa`atein
Unhein aetbaar-e-wafa tu hai mujhe aetbaar-e-sitam nahi
Wohi kaarwa`n, wohii raastay, wohi manzelein, wohi marhalay
Mgr apne apne maQaam per kabhi hum nahi kabhi tum nahi
Na wo shaan-e-jabR-shabaab hai na wo rung-Qahr-aataab hai
Dil-e-beQaraar pe hai in dinon sitam yehi ke sitam nahi
Na fana meri na baQa meri mujhe aay Shakeel na dhoondiye
Mae kissi ka husn-e-khayaal hoon mera kuch wajood-e-adam nahi …*