Hayaat kay ujrray dayaar mein kuch taarikeyaan abhi aur hain
naseeb kay biggrray nisaab meiN kuch talkheyaan abhi aur hain
main nay phir say tinkay jor kar socha kay banaaoo’n ik aur ghar
mujhay tabhi falaq say nawaa mili kay wahaN bijliyaaN abhi aur hain
yehi deikh ab kay terey khaab sab kiun dhal gaey hein saraab main
dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
wo daag yaadon kay bad’numa tu nay mitaaey to hain par sab nahi
masiha-e-waqt meray zehan par aesey kuch nishaan abhi aur hain
main chaahoo’n agar bhi to kis tarhaN supurd-e-ajal ho jaaoN abhi
kay is sookhta-jaaN ke hisaab main, ‘qarz-e-dostaa’n abhi aur hain
abhi kaavisho’n main lagey raho zara saans leney ko ruko nahi
mujhey hey yaqeen yaha aas paas naye aasmaan abhi aur hain
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
hey dil par lage yaar bohat gham geen ho dil par lagai tu zabat nahi hota keep it up dear
Ali_2
3
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
main nay phir say tinkay jor kar socha kay banaaoo’n ik aur ghar
mujhay tabhi falaq say nawaa mili kay wahaN bijliyaaN abhi aur hain
it’s beautiful Shab-e-Hijr 
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
Awesome Sharing.. 
S.786
5
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
sari ghzal hi dil pr dastuk deti hy........thanks shab
muncho
6
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
waaaaaah bunderphul, luft do nahi kafi-baala hua
to dervaza khol do verna toot jai gha:hehe:
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
simply great ghazal shabz :k:
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
nice sharing
mujhe tau samaj hi nahi aayi
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
again masterpiece thanks for sharing again and again :-)
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
yehi deikh ab kay terey khaab sab kiun dhal gaey hein saraab main
dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
ya, true..
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
me ne sab exam day dalay shabo :p
Beautiful like alwaysa shabo :)

buhat khob shab
me ne sab exam day dalay shabo :p
Beautiful like alwaysa shabo :)
chlain phir ab results ka wait karay :D
Koyal
17
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
gud cooking shabo :p
cooking idhar kidhar agaye 
Re: dil-e-be-khabar zaraa hosh kar kay terey imtehaan abhi aur hain
hmmmmm 
i think koyal ne koi inside ka joke maRa hia chando g 