Dil-e-be khabar, zara hosla..!<O:P></O:P>
Koi aisa ghar bhi hai shehar mein, jahan har makeen ho mutma’in?<O:P></O:P>
Koi aisa din bhi kahee’n pe hai, jisay khof-e-aamad-e-shab nahi?<O:P></O:P>
Ye jo gard baad-e-zamaa’n hai, ye azal se hai, koi ab nahi..!<O:P></O:P>
Dil-e-be khabar, zara hosla..!<O:P></O:P>
Ye jo khaar hain tere paao’n mein, ye jo zakhm hain tere hath mein<O:P></O:P>
Ye jo khwab phirtay hain dar-ba-dar, ye jo bat uljhi hai bat mein<O:P></O:P>
Ye jo log bethay hain ja-ba-ja, kisi an-banay se dayaar mein<O:P></O:P>
Sabhi aik jese hain sar-giraa’n, gham-e-zindagi k fishar mein<O:P></O:P>
Ye saraab yunhi sada se hain, isi raigzaar-e-hayat mein<O:P></O:P>
Ye jo raat hai tere chaar-su, nahi sirf teri hi ghaat mein<O:P></O:P>
Dil-e-be khabar, zara hosla..!<O:P></O:P>
Tere saamnay wo kitab hai, jo bikhar gyi ho waraq waraq<O:P></O:P>
Hmain apnay hissay k waqt mein, isay jorna hai sabaq sabaq<O:P></O:P>
Hain ibaart’ain zara mukhtalif, magar aik asl-e-sawal hai<O:P></O:P>
Jo samajh sako to ye zindagi, kisi haft-khwaa’n ki misaal hai<O:P></O:P>
Dil-e-be khabar zara hosla, nahi mustaqil koi marhala<O:P></O:P>
Kya ajab keh kal ko yaqeen banay, ye jo muztarab sa khayal hai<O:P></O:P>
Kisi roshni mein ho munqalib, kisi sarkhushi ka naqeeb ho<O:P></O:P>
Ye jo shab numa si hai be-dili, ye jo zard-ru sa malal hai<O:P></O:P>
Dil-e-be khabar, zara hosla…!!
amjad islam amjad