dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

hayaat kay ujray dayaar mai kuch tareekia'n abhi aur hain naseeb kay bigray nisaab mai kuch talkhiyaa'n abhi aur hain

mai nay phir say tinkay jour kar socha kay banaoo ek ghar
mujhay tabhi falak say nawa mili kay waha badlia abhi aur hain

yahi dekh ab kay teray Khwaabsab kyon dhal gye hain saraab mein
dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

woh daagh yaadon key bad-numa tunay mitaye to hain par sub nahi
maseeha- e-waQt Meray zehan Par aisay kuchnishaaN abhi aur hain

Aey toofan-e-hawa Zara Phir sey a’a In bastiyOn mein har us Jaga
jhana bach gaye hian chund ghareeb asay kuch makaan abhi aur hain

mai chaahoon agar bhi to kis tarha supre-e-ajal ho jaoon abhi
kay is soukhta jaan kay hisab mai qaz-e-dostaan abhi aur hain

abhi khawahishoo’n mai lagay raho zara sans lainay ko ruko nahi
mujhay hai yaqeen yehi ass pass naye asaman abhi aur hain

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

simply sooperb shab.

aisay kuch nishaa'N abi auR haiN :( Beautiful shabo me miss u :( *

Beautiful:)

Very Nice Shab-e-Hijar..:k:

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

bohat khoob......!

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

bohot aala hai....thanx shabo

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

Bohat khoob

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

bebasi aur bezaari se insaan kese khud ko najaat de?

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

Very Nice

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

nice sharing

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

mai nay phir say tinkay jour kar socha kay banaoo ek ghar
mujhay tabhi falak say nawa mili kay waha badlia abhi aur hain

Aey toofan-e-hawa Zara Phir sey a'a In bastiyOn mein har us Jaga
jhana bach gaye hian chund ghareeb asay kuch makaan abhi aur hain

kia ye khulla tazaad nahi??

Re: dil-e-be- khabar zara hosh kar kay teray imtehaaN abhi aur hain

bht khubsurat:lajawab:

thanks everyone :flower1: