***Dil dariya meiN khooj mila hai kuch abaad jazerooN ka
Dard ki teh meiN paya maiN nay kashf tayree tusveerooN ka
Ik masoom seher aa^eena fitrat ki taskheerooN ka
ChuriyooN ki chehkaar khulasa Hamd ki sab tafseerooN ka
Ik masti na khufta aankh meiN la mehdood zamanooN ki
Ayk nasha khuabooN sey pehlay khuabooN ki tabeer ka
YadooN kay ikhlaas meiN punhaaN raaz jameel jahanooN ka
Khoon kay noor say zahir hoga ehd na^ee taqdeerooN ka
Is mehboob sada kay vasl say mayray lafz chamaktay haiN
Daikh hava ki aankh meiN ‘Ajmal’ raqs mayree tehreerooN ka